Kathin raaston ko bhi aasaan bana lo
Har ik dard ko apna darmaan bana lo
Isi lamhe ko khulke jee lo bahut hai
Isi lamhe ko apna arman bana lo
Yeh gham mezbaani bahut kar chuka hai
Ise apne ghar aaj mehmaan bana lo
Bahut hain pareshaan yeh khwaab e pareshan
Unhe aaj sham e shabistaan bana lo
Chiraag e tasvvuf ko dil mei jalakar
Andheron ko ‘Sahil’ firozaan bana lo
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com