Ai andaleeb e mumtaz
Aaj soona soona sa jahan hai
Ek sannata ek ajab khamoshi si hai
Ek deewanagi, ek be hoshi si hai
Aaj Naghma Bulbul ne na sunaya
Minnaten keen usey bahot manaya
Chaman saara udaas tha
Dil gulon ka yaas tha
Aansu dekhey khaaron ke
Rang pheekey baharon ke
Lab pe naam sab ke aaj hai uska
Woh jo qareeb hai Rab ke aaj
Ai Lata, awaaz woh sirf teri na thi
Tera mulk, is ke log, is Hindustan ki thi,
Magar,
Sunte hain aaj logon ko kehte
Nahin βsahilβ, woh sada e bulbul kul jahan ki thiππππππ
Andaleeb. Bulbul
Mumtaz. Pre eminent unique exalted
Yaas. Despair morose despondent
Khaaron. Kaante
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com