Mukhtalif rang hote hain shajar par yaro
Nazar kyun hai tumhari mere hi dilbar par
Gar khud se guftugu mein na aaye lutf tumhen
Phir kya karo ge jaakar yaron ke ghar par
Inkisari bunyaad hai jab sukun ki dosto
Naqash-e-pa na banao zar ki dagar par
Nigehen sath na den alfaaz ke agar
Rakhiye aitmaad, phir sirf nazar par
Aadi hain log dekhiye khoshamad ke kaise
Jata raha yaqeen bhi, Insaan-e-ahqar par
Shab par munhasir hai aftaab ka ghuroob hona
Khurshid bhi bhatakta hai, ik umeed sehar par
Chehron par nahin, naqaab dilon par hai
Jaan haazir hai jaanan, tere liye
Kyun kere aitbaar koi majazi paiker par
Mazeed aafat na dha, tu sokhta jigar par
Fitna bohat hai haal ki duniya mein, ‘Sahil’
Inhisaar rakh too qalam par, na ke nishtar par
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com