Khuda sabka main ne paasbaan bana rakha hai
Manzil woh meri usey armaan bana rakha hai
Shab o roz ki gardish men, bana raat ko mehmaan
Kal subh ki aamad ko imtehaan bana rakha hai
Num rakh kar aankhon ko, mahaul abr o baaraan ka
Main ne sookhi zamin ko aasmaan bana rakha hai
Mustaqil nahin hai jab kuch bhi jahan men, vaaiz
Khushi ko main ne apna mehman bana rakha hai
Naam rab ka rakh lab per aur dil men sadaqat
Yun mushkion ko saari aasaan bana rakha hai
Nazaare duniya ke sab dil men sama kar
“Sahil”, tanhayi ko main ne kul jahan bana rakha hai
Paasbaan. Chowkidaar
Gardish. Revolution. Chukker
Abr o baaraan. Clouds n rain
Vaaiz. Preacher
Sadaqat. Sincerity
Notice :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com