Kis jaanib ja rahi hai logon ki raghbat aaj
Batao kis rang ki hai logo anokhi ulfat aaj
Dil lagaya Rab se jab, uktaya phir woh kyon
Kaisi be sabaat hai teri insan ibadat aaj
Mohkam nahin hai kuchh bhi kyon, imaan samet
Ja ba ja ki raaegaan hai, insan ki aadat aaj
Asaas se door, jaron se tu be ta’alluq
Nazar aati hai kyon mahz teri adavat aaj
Kaunsa mazhab kis se behtar, fuzul ki yeh baat
Kaisi hai bande teri yeh baghawat aaj
Ab tu hi ‘sahil’ ko samjha jhagre sab yeh kaise
Asliyat kya hai, ai Vaaiz, aur teri naseehat kya hai
Raghbat. Propensity
Mohkam. Firm
Raegaan. Futile
Asaas. Foundation
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com