Kya karunga main husn e tasweer ka
Na ho gar karam aalamgir ka
Num chashm baney kor chashm agar
Phir kya tere jalwa e be nazeer ka
Gar pa ba jaulaan ho man zameer ka
To karna hai kya kisi zanjeer ka
Khwab o saraab to behlaate hain dil
Fayeda phir kya kisi taabeer ka
‘Sahil’, riza khuda ki laagu hai sab per
Phir qusoor kya hai bol taqdeer ka
Aalamgir. Khuda
Num chashm. Teary eyed
Kor chashm. Blind
Be nazeer. Incomparable unmatchable
Pa ba jaulaan. Chained
Zameer. Conscience
Saraab. Mirage
Taabeer interpretation
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com