Kya khushi hogi mustaqil na ho gham e dil agar
Zaamin kaun tufaanon men bhaley ho sahil agar
Manzil to na aayi kabhi chal kar kisi ke paas
Karogey tum thahar kar kya aaye na manzil agar
Himmat e mardaan ko haasil hai madad e khuda
Jab kabhi ghabraye be bas dhadakta dil agar
Raub o daab o ghurur se nahin banta insan koi
Pathhar bhi to mom hai chaahey ho sang dil agar
Sulagta ho gar dil men tere shola e aatish, phir
Faiz kya bata ‘sahil’, jo bhadke na mehfil agar
Dard e dil hai yaro koi sumundar to nahin
Kya zakhm woh gehra na the hovey jo mundanil agar
Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com