Kya manzilen milti hain hamen, sirf aazmane ke liye
Aur muntazir rehti hain dhadkanen, dil ke ruk jaane ke liye
Jaise rukey rehte hain chashm, ashk bahaane ke liye
Jaise be chain hai sham’a, parwaane ko jalaane ke liye
Zindagi se naraaz, rashk karte huay muntazir, qaza
Aur betaab subh ki kiran, andheron ko mitane ke liye
Jaise be sabr rehta hai ishq dil ko lagaane ke liye
Aur be qaraar daastaan go, daastaan sunane ke liye
Jaise dil rehta hai be sabr, roothon ko manaane ke liye
Be chain woh jazba e mahabat apnon ko apnaane ke liye
Phir, azaab o be sabri ki woh zaalim ghadiyon ko
Goshe men baithi taskeen, muntazir bhulaane ke liye
Tadapti rehti hai jaise sahil per ret, maujon ke liye
Aur be chain woh sumundur waapas bulaane ke liye
Mere khwaab, kaaboos ko mitaane ke liye jaise, phir
Meri neendon men woh apni jagah banaane ke liye
Jazba e intezaar bhi ‘sahil’ kya ghazab ka jazba hai
Be chain rehti hai jaise Ma, bache ko lori sunaane ke liye