Kyon chhalak rahi hai mai aaj gham ke pyaalon men
Kya rind nahin firasatmand hain aaj maikhaanon men
Aamezish kaisi kaisi hai tu hi samjha vaaiz hamen
Milawat hai kaisi sharab men,, khot kyon paimaanon men
Na milna chaaho na sahi muzaaiqa nahin hai, yaro
Dilchaspi nahin ab mujhe tumhare un bahaanon men
Hai khaalipan khalaon men, udaas bahot yeh aasmaan
Parwaaz nahin parindon ka kyon aaj un ki udaanon men
Kabhi rashk insan se tha falak ko ab kya hua usey
Kyon chamakti nahin woh bijliyaan aaj muskaanon men
Kharidaar to they maazi men bhi per aisa to na tha
Bikti hai aaj sharm o haya shahar ke baazaaron men
Rang o roop, naqsh o nain, khuda sab ka ek
Tafreeq hai kya batla naaseh hum insanon men
Etimaad kya, baharosa kaisa, hai zubaanen sab doghli
Nishaan nahin imaan ka koi kisi ke bhi vaadon men
Vaaiz, soch samajh kar baat kar yaqin per sawaal hain
Dil men kya hai dhundte hain log sabki aaj nigahon men
Neki ke saath badi kyon dil paak aur na paak bhi
Kyon dhundta hai khazaan ko tu apni hi bahaaron men
Tanz o tanqeed ki hai dunya talaash tumhen kya
Dosto, zehanat ki umeed kaisi farzi in zamanon men
Chaalaak o be hiss insan hai aaj munafiq woh har haal
Dil men sabke hai khuda dhundte hain khaankaahon men
Gham na khushi jaane waqt bas guzarna us ka kaam hai
Kaun utara, kaun chadhaa, kaun jaane kaarwaanon men
Jawaab hai gar koi tere paas to hamen bhi batla, ‘sahil’
Na shaad guzre zeest be shak, per kyon be dard lamhon men
Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com