Lutf e sukhan to sukhan mein hai
Jaan to meri badan mein hai
Taaliyon ki goonj se kya miley
Sukun to raushan man mein hai
Yeh justaju e shauhrat hai kya kaho
Khaalipan to saara dhan mein hai
Taqreeren to har ja be shumaar hain
Daanayi lafzon ke vazn mein hai
Waaldain qareeb aulaad hai kitni
Taskeen isi shaan mein hai
Ma ke gehwaare ko bhooley hain log
Afsos to isi badzan mein hai
Main aya, main ne dekha, fateh kiya
Aaj zawaal isi lagan mein hai
Kyon bhuli hai aaj apnon ko dunya
‘Sahil’, rooh to aakhir watan mein hai