Kuchh udti gard hai maazi ki
Jo mujh ko ab yaad aati hai
Koi qissa chota chota sa
Koi yaad jo sataati hai
Aawaaz wo suhaani si
Jo ab bhi yaad aati hai
Woh Maa jo ab bhi khayalon mein
Pyaala doodh ka pilaati hai
Jab gungunaata hun main lori us ki
Aaj sun kar bulbul sharmaati hai
Sar jiski god mein rakh kar apna
Sota tha, mujhe aaj bhi wohi sulaati hai
Nakhre ghusse sehti sab
Woh aaj bhi sabaq sikhlaati hai
Munfarid bachpan, makhsoos Maa
‘Sahil’, sada donon ki bahot yaad aati hai
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com