Maana ke haseena qaatil hai munsif, zuroor hai
Per, kisi ne usey kaha tha ke woh hoor hai
Hoor to jannat men hoti hai, huzoor
Zamin per yeh shai to awwal futoor hai
Zindagi ko dikhlana tassavvur qaza ke
Zulm hai, janab, mujrim be qusoor hai
Bina maut ke to hoor ban na mumkin nahin
Ilzaam lagaane wala to la shaoor hai
Purdah na hijaab to kya hua, vaaiz
Palken jhukin hain meri woh mastoor hai
Mushkil nahin hai chalna zulmaton men kabhi
Yaad rahey gar tum ko yaro baatin men noor hai
Kisi ke liye nasha hai aur kisi ke liye samar
‘Sahil’, yeh to bas intekhaab e angoor hai
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com