Log kehte hain aur hum sunte hain
Ke aaj din auraton ka hai
Hum puchhte hain, kaho mahilao
Jahan tumhara, phir din ki baat kya
Suraj ubharey aur aap na hon
To andhera ho har ja
Phir, kaho raat ki baat kya
Jidhar dekhiye suraten dekhiye
Husn aur uska jalwa dekhiye
Chand sitaron ki raunaq kya
Hooron se umeed e mulaqaat kya
Salute kartey hain tumko
Ai jahan ke rakhwalo
Tum na ho to hum adhurey kya
Hum kamzor mardon ki phir baat kya
Khush raho, aabaad raho
Hamen bhi sikhlatey raho
Samjhatey raho, deewaana banate raho
Tum se badh kar to koi saughaat kya.
Zindabad.
Har ja. Everywhere
Saughaat gift
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com