Maujon ki mehfil nahin to phir sahil kya hai
Anjaam e kaar sukun nahin to haasil kya hai
Sangdil men ho dil jiske woh sang dil kya hai
Is subh shaam ki daur men kaho manzil kya hai
Manzil e maqsud kya hai vaaiz tu hi bata
Sarmad na ho manzil agar to manzil kya hai
Rah e khuda per aaye gar iblees kabhi koi
Mazahmat nahin to phir yeh haail kya hai
Ek nafas men jo maanta ho kul zeest ka hona
Us ke liye kal subh kya, mustaqbil kya hai
Dhadakti hai zamin jab zalzale men, ‘sahil’
Gar azu nahin hai dhadakta dil to dil kya hai
Anjaam e kaar. Result of work
Iblees. Shaitaan
Mazahmat. Impediment
Haail. Obstacle
Manzil e maqsud. Goal
Vaaiz. Preacher
Nafas. Saans
Zeest. Zindagi
Zalzala. Earthquake
Azu. Organ of body
Note:
All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com