Maujon se khelne walo woh matti to dhul jayegi
Per paaon taley ki ret o zameen bhi phisal jayegi
Kisi aur ki nazar se kabhi khud ko dekhiye
Manind e ghurub e suraj ana dhal jayegi
Saraab sa ghuroor to woh mit jayega
Ubharti hui shaikhi ko saza mil jayegi
Thartharati hai zamin, halke zalzale ke baad
Badi ho nadi ya oonchi pahadi woh hil jayegi
Bhaley darakhshaan hon taarey falak men har shab
Subh honay talak mom to zurur pighal jayegi
Kyon bhulta hai tu insan asaas teri hai khaak
Dafn ho ya ik roz, teri hasti jal jayegi
Pashemani ko dil se na lagana tu, ‘sahil’
Be rahm jitni bhi ho raat woh tal jayegi
Saraab. Mirage
Zalale. Earthquake
Darakhshaan. Shining
Asaas foundation
Pashemani. Remorse