Mausam woh shabaab ke, dil men mere khwaab they
Be misal zamana tha din woh la jawaab they
Hasraten theen naghme dil men be shumaar
Manind e uqaab ud rahey hawaon men mere khwaab they
Daagh daaman per they nahin, aaluda na kaseef kuchh
Qaraar naam ki shai na thi, dil sab betaab they
Mutriba thi, sharaab thi, saamaan e aish sab tha
Na miley to wo mere apne hi kuchh saraab they
Azm tha parwaaz ka, bulandi sar sawwaar thi
Chhutey kya falak ko woh afkaar jin ke payaab they
Ab aan padi hai shaam mujh per shab bhi qareeb hai
Kho gaye hain kaaghaz sab likhe jin per hisaab they
Justaju idhar udhar talaash un heeron ki hai
Woh jo baais e khushi they woh jo mere ahbaab they
‘Sahil’, rakht e safar batortey guzri hai umr meri yun
Bikhartey rahey ja ba ja woh jo mere asbaab they
Shabaab. Jawani
Kaseef. Grimy
Mutriba. Singer
Saraab. Mirage
Payaab shallow
Ahbaab friends
Rakht e safar. Provisions for journey
Asbaab. Properties
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com