Kabhi mehfil ka charaagh ban kar dekho
Apne daaman ka daagh ban kar dekho
Aasaaish kya milegi kisi aur se tumhen
Kabhi khud apna faraagh ban kar dekho
Pehchanana ho kisi ko, asl iradon ko khoob
To phir us ka dil o dimaagh ban kar dekho
Har daagh nahin hota nishan ruswayi ka
Kabhi chaand ka bhi daagh ban kar dekho
Roz marra ki daur mein kya rakha hai, dosto
Kabhi zindagi ka bhi suraagh ban ke dekho
Firasatmandon mein kitni aql hai, ‘sahil’
Kabhi tum bhi to baaligh ban kar dekho
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com