Mehfil se uth kar aaye ho na jaane kis liye
Kya na milne ke bahaane tum batane ke liye
Ya waqayi nadamat ke josh mein aye ho tum aaj
Shayad manane aur mujhe saath le jaane ke liye
Kahaniyan mat sunana andheri raaton ki
Baatein woh puraani suhani mulaqaton ki
Bheege badan mehakte huay mann
Sard hawa woh qana’at un barsaton ki
Aaye daraar rishton mein to mushkil hai
Anjuman tumhara aur meri mehfil hai
Takabbur o zid ka hai muqabila
Ana tumhari aur mera dil hai
Masaalihat o samjhaute ki baat hai
Pyaar men na jeet na kisi ki maat hai
Yeh bandhan hai aise naazuk dhaagon ka
‘Sahil’, lafz e ulfat ka mutazaad aafaat hai
Nadamat. Regret
Qana’at. Contentment
Takabbur. Arrogance
Masaalihat. Compromise
Mutazaad. Antonym
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com