Mera watan hai, Hindustan hai
Mera chaman hai, rashk e jinaan hai
Is mein hindu aur Musalman hai
Is mein Sikh aur Isaai hai
Is mein Budh bhi or Jaini bhi
Aapas mein hain bhai bhai .
Mera watan hai, Hindustan hai
Mera chaman hai, rashk e jinaan hai
Desh hai yeh sab insaanon ka
Apnon ka aur begaanon ka
Rishte baham yahan hain sab ke
Sadiyon se jo yahan hain rehte.
Mera watan hai, Hindustan hai
Mera chaman hai, rashk e jinaan hai
Khazaan ka naam yahan nahin hai
Nafrat ka kuch kaam nahin hai
Nafrat yahan jo bota hai
Apne hi ko woh khota hai
Mera watan hai, Hindustan hai
Mera chaman hai, rashk e jinaan hai
Shaan hai iski koh e Himalay
Masjid , mandir or shivalai
Dushman jab bhi aa jaata hai
Maat hamesha kha jaata hai
Mera watan hai, Hindustan hai
Mera chaman hai, rashk e jinaan hai
Koh e himala. Mountains of Himalayas
Baaham. Aapsi
Rashk e jinaan envy of the world. Saara jahan jis ko dekhta hai eersha se
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com