Mujrim nahin phir kyon daren saza se hum
Munsif, yehi kahenge ik roz khuda se hum
Humnavayi nahin, gaam ba gaam nahin
Kya karenge kaho aisi wafa se hum
Haavi hai kyon hum per simoom is qadr
Puchhenge zuroor ik roz yeh saba se hum
Phaila hua hai shor o ghul falak tak, magar
Tang na aayenge kabhi lutf e faza se hum
Darey na dasht o sahra na zindagi se kabhi
Ab kya darenge ‘sahil’ is be jaan qaza se hum
Munsif. Judge
Gaam ba gaam. In step
Humnawayi General Understanding. One voice
Simoom. Sultry winds
Saba. Gentle breeze
Lutf e faza. The pleasures of the air. The atmosphere around
Dasht o sahra. Desert. Forest arid place
Qaza. Maut
Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com