Munfail
Muqabil hain samandar aur sahil bohat
Ghumzda hai aah, udas hai dil bohat
Samjhaayein nazakat mohabbat ki kya
Dil o dimagh hain ‘Sahil’ munfasil bohat
Hamein qisse na sunao hamdardi ke
Hai mohabbat se nafrat mut-tasil, bohat
Pila de saqi, rang jama, kuch to kar
Be raunaq hai aaj, teri mehfil bohat
Nazron se peene ki tamanna hai, sab ko
Jaam firasat ke peete hain jaahil bohat
Peeri ka baar goya jhuka shajar
Barg kya uthaye jo khud ho muzamahil, bohat
Karam chahiye kkhuda ka, rehmat usi ki
Qismat to dosto hai sang dil, bohat
Mat pooch ya rab, meri Raza kya hai
Gunah mujh se huay, hon munfal bohat
Mat sunao tum qisse afaat yaro
Dekh chuka hai Mushkilein ,’Sahil’ bohat
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com