Mushkilen hi mushkilon men hoti hain bahot
Aasaaniyan bhi un hin men tadapti hain bahot
Jaise uth te hain be sakhta dilon men valvale
Sukoon pur dilon men be chainiyaan basti hain bahot
Shaadmaan hon chaman men dil gulon ke agar
Khushbuen har jaanib tab mehakti hain bahot
Hai ajab yeh zamana aur bahot ajab is ke log
Wafa men be wafaayiaan chhupti hain bahot
Deewaaron se bachna, ke mukhbari fitrat hai un ki
Sargoshiyon se bhi dosto, ke woh udti hain bahot
Ai tufaanon, bujha na sakogey unhen tum kabhi
Jo ‘sahil’ ke dil men umeeden, jalti hain bahot
Be sakhta. Spontaneously
Shaadmaan. khush
Mukhbari. Espionage. Jaasoosi
Sargoshiyon whispers
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com