Na mila sabaq jisey dabistan e hayaat se
Phir kya milega dars usey fateh ya koi maat se
Noor e dil ke baare men, puchhiye kor chashm se
Subh ki baabat pursish kaisi amavas ki raat se
Bharosa kya karun main shaikh vaadon per tere
Maaloom na ho gar ta’alluq unka tere khayalaat se
Dekh tu ne bheega mujhko thahraya mujrim kyon
Falak hai gawaah munsif num daaman tha barsaat se
Haasil usey hogi koi khushi aur shaadmaani kya
Miley na jisey lutf koi hayaat ki saughaat se
Apni chaar deewaari men hai dunya saari, ‘sahil’
Dil men phir umeed kya is saraab si kaaenaat se
Dabistaan e hayaat. School of life
Noor e dil. Dil ki raushni
Kor chashm. Blind
Saughaat. Gift
Kaenaat. Universe
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com