Naaseh, jalwe atfaal ke dikhlao to koi baat baney
Aaj chehre khushhaal dikhlao to koi baat baney
Sawaalon, jawaabon, ki hai dunya yeh saari
Ik roz bina sawaal dikhlao to koi baat baney
Aaj masaaib ki girift men be kas hai zamana
Waqt e na muhaal dikhlao to koi baat baney
Andheron men bhatki si dunya hai kaisi, vaaiz
Khutbe nahin, mashaal dikhlao to koi baat baney
‘Sahil’ irtiqa ke nazaare, tabaahi yeh har su
Tum kuchh aur kamaal dikhlao to koi baat baney
Naaseh. Counsellor
Atfaal. Children
Masaaib. Museebaten
Na muhaal. Free of difficulties
Vaaiz. Preacher
Khutbe. Sermons
Mashaal. Torch
Irtiqa. Progress
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com