Nur na ho baatin men to sham’a kya jalaoge
Pur soz na ho dil to phir gham kya khaoge
Aayene ke mukhatib ho chehre se na khush
To kor chashm ko naseh tum raah kya dikhlaoge
Gar hasraton men apni be qadar ho ghurub
To kisi aur ki aarzu ko murad bar kya laoge
Na mila sako tum nazren zamin per gar kisi se
Dasstaan tum apni phir sar e baam kya sunaoge
Vaaiz, zahn men aaj sab ke barhainagi hai aisi
Libaas sharm o haya ki tum kisey kya pehnaoge
Haasil na hua kuch bhi dil e muztar ko kabhi, 'sahil'
Gar imaan na ho pukhtah to aaraam kya paoge
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com