Paigham e wafa ki baat hoti hai
Phir kambakht hijr ki raat hoti hai
Bahot ajab hai yeh maajra ulfat ka
Jaane kab kis se mulaqaat hoti hai
Umr bhar ka saath kuchh aasaan nahin
Har roz jahan kisi ki maat hoti hai
Zeest ulfat ki anokhi, alag hai zurur
Mukhtasar ya taweel hayaat hoti hai
Umeeden bahot is raah pe logo, per
Kya bosa e alvida saughaat hoti hai
Pyaar kya hai to umr se puchho
‘Sahil’, josh o kharosh ki baaraat hoti hai
Hijr separation
Taweel. Long
Bosa e alvida. Goodbye kiss
Josh o kharosh. Ardour
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com