Puchiye shaam e gham se kabhi
Na miley jawaab to phir hum se kabhi
Kya basti hai us ke dil men umeed
Ya, fana hui hai woh gham se kabhi
Mere soz e dil ko samjhaye kaun
Miley na aaraam marham se kabhi
Dhaa le ai waqt jo chaahe tu zulm
Main haara nahin sitam se kabhi
Roti aankhon ko kyon karte ho tang
Na karo sawaal chashm e num se kabhi
Waaqif hun ‘sahil’ ikhtitaam se khub
Phir bhi ladta hun apne dum se kabhi
Marham. Dawa
Chashm e num. teary eye
Ikhtetaam. End
Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com