Listen

Description

Qaus e quza aur rang baharon ke dekho

Suhaane kitne hain rang gulon ke dekho

 

Ho jaaye gar talkhi dilon se woh door

Lehje phir shireen sab logon ke dekho

 

Hua karti theen mohkam wafayen kabhi

Dhang kaise hain aaj ulfaton ke dekho

 

Ab kaifiyat e haal e shabaab dekhiye

Aur lehje phir un zubanon ke dekho

 

Waqt na fursat, milen tumse kaise

Nakhre bhi aaj ke bahanon ke dekho

 

Ik lehze men badalta hai sab kuch kyon

Andaaz aaj khilti muskaanon ke dekho

 

Ek jaise hain sab milti julti hain shaklen

Per, tamashe tum ‘sahil’ aaj insanon ke dekho

 

Qaus e quza. Rainbow

Lehje. Tone. Manner

Shireen. Meetha

Mohkam.  Pukka

Kaifiyat e haale
shabab.  The state of the youth Farzi.
Put on  unreal

 

Note:

All material in this product is the intellectual property
of  Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written

permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,

The author is always open to proposals and can be contacted

via www.ashoksawhny.com