Rabt o ehteraaz to tabiyat hai insan ki
Jaise zulm o karam hai aadat aasmaan ki
Naqaab be naqaab woh zamaane kuchh aur they
Jab hoteen theen baaten sab yaqin o imaan ki
Aaj baaten to hoteen hain per toleen nahin jaatin
Kya bhooley hain log haqeeqat us mizaan ki
Kabhi darja Rab ka milta tha ghar aaye mehman ko
Waqt woh lao aisi thi jab izzat har mehmaan ki
Vaaiz, shaikh to tab bhi they aaj bhi hain, magar
Bartar thi tab riza us khuda e mehrbaan ki
Bhool ahd e maazi ko asr e haal men aa, shaair
Sunata hai daastaanen tu kab or kahan ki
Har neem shab badalta hai sab kuchh ‘sahil’ aaj
Kya khabar nahin hai tujhe mizaaj e jahan ki
Note: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com