Rukey ravaani lahu ki to marham kya karey
Sukhay gar dawaat qalam ki to qalam kya karey
Be haya hai itni yeh ahd e irtiqa aaj
Gar hijaab hi chala jaavey to sharm kya karey
Har shai ka hota hai maqaam apna be shak
Khushi karey gar dil se kooch to gham kya karey
Raushan karey nur e khuda dil men hamesha
Us ki beenayi ke liye phir jaam e jam kya karey
Qasm kyon khaatey ho naam khuda ki yaro
Riza us ki na ho agar to phir qasm kya karey
Maana ke zamana be dardi ka hai bahot, per
Phir kaho yeh narm dil aur num chashm kya karey
Jis vahshat ke daur se guzar raha hai insan aaj
Nairang hai, bhala koi ibn e mariam kya karey
‘Sahil’, qaza de jab dastak to dum kya karey
Khizaan haavi ho bahaar per to mausam kya karey
Note:
Ravaani. Flow
Beenayi. Sight Vision
Num chashm. Wet eye
Nairang. Miracle
Ibn e Mariam. Son of Mariam , Christ
Qaza. Maut
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com