Listen

Description


Safar to safar hai ‘sahil’ koi mausam ka bayaan nahin
Jaise sehar naam subh ka hai, aftab ka ayaan nahin

Sach kitna hai daleelon mein yeh to daleelen hi jaanen
Sabooton ka bharosa kya, woh sach ka bayaan nahin

Zabt e sukhan hai aqlmandi, posheeda us men sukoon
Khamosh rehnewala naaseh, becharah, be zubaan nahin

Daaman pe daagh, chaak girebaan yeh to mohavarey hain
Ghurbat ke alamaat be shak, ruswayi ke nishaan nahin

Mandir masjid aur kalisey men jaane se kya hota hai
Bhooley jo insaniyat ko, woh shakhs to phir insan nahin

Sar jhuka kar chalo yaro ibadat bhi khud ho jayegi
Kaakh o gulzaar ka maalik honey men to koi shaan nahin

Chaman men gul o khaar hain, dil bhi ek gulsitaan hai
Gar khud na chaahe dhadakta dil to woh bayabaan nahin

Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi

Note:

All material in this product is the intellectual property
of  Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,The author is always open to proposals and can be contacted via www.ashoksawhny.com