Sahil dilkash thi teri tehreer kaisi
Kya hua kyun badli hai woh sareer kaisi
Dekhiye zamaane mein yeh darogi raaz
Wafa ko samjhte hai log zanzeer kaisi
Andaaz dekhiye ahl e imaan ke aaj
Rakhte hai momin dilon mein tasweer kaisi
Hum or tum nahin hai yeh sehr ke logon
Hum kya hamari taqdeer kaisi
Neend nahin khwaab nahin kaboos hi kaboos
Khwabon ki phir hogi tabeer kaisi
Khayal e khaam mein mubtila hai log dekho
Reg e rawa per yeh tameer kaisi
Mardaan e siyaasi or taqreere unki
Kya hai logon ke dilon per taskeer kaisi
Shab mein dekhte hai log raah saher ki
Kaun jaane sub ki hogi taqdeer kaisi
Kya bharosa nahin hai rab per verna ‘Sahil’
Dekhte kyon har roz hain log haathon per hai lakeer kaisi
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com