Taskeen miley jab soney mein phir jaagen kis liye
Aaram de sukoon jab to phir bhaagen kis liye
Bajti nahin ek haath se kabhi do se bhi taali
Be hiss ho jis ka dil afsos, usey chahen kis liye
Puchhe koi aftaab se hai khudkushi ka junoon kya
Woh doobta hai har shaam jab to hum roken kis liye
Rind hain bata saqi koi raasta to dikhla hamen
Band ho chukey hain maikade ab thahren kis liye
Kyon sunta nahin hai Ya rab tu baat ghurbat ki aaj
Gar fursat nahin hai tujhe phir duaaen kis liye
Rulaaney ko baithi hai yeh duniya yaar dost bhi
Khud ko hum batlao koi phir rulayen kis liye
Khuda nahin khaak hun naseh sawaal mujhse kyon,
Idhar udhar ki baat kar dilaasey dilayen kis liye
Subh se shaam ho chuki hai puchh le hayaat se
Ab kya chahiye ‘sahil’ tujhe tamannayen kis liye
Note : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com