Title - Dosto
Poetry by @AshokSawhnySahil
#urdupoetry #shayari #ashoksawhnysahil
Dosto, Puja karo , Prayer ya Namaaz
Chhupa un sab men ek hi raaz hai
Khuda, God, ya Bhagwaan hain sab ek
Aur, woh insan se aaj be had naraaz hai
Is liye nahin ke woh khuda ko bhoola hai
Ghaafil hai, aur khud ko khuda maanta hai
Per, is liye ke woh insan ko insan nahin maanta
Haiwaanon se bhi badtar bura maanta hai
Pyaar mahabat kutte biliyon se kaabil e daad hai
Per apne hamsafar se be dardi, yeh kya kamaal hai,
Koi to socho, kuch to samjho, ai firasatmando tum
Logo, jalwagar se behtar to zindagi kamaal hai
Magar ‘sahil’ tu kya samjhayega is duniya ko, nadaan
Kaam Us Rab ka hai wohi jaane apne taur tareeqey,
Ilteja aur umeed hi kar sakte hain hum, us parvardigaar se
Ke woh is bhoole bhatke insan ko aql o tameez navaaze.