Listen

Description


Nafrat na jaane pyaar kya hota hai
Khalwat na jaane intizaar kya hota hai

Tamashe ka hota hai deedaar agar
To jaano kisi koi bhoot sawaar hota hai

Dua karna na bhoolna yaro kabhi
Bhale manzoor ya inkaar hota hai

Baahar ke hangaamon ko drama maaniye
Asl shor o ghul to pas e deewaar hota hai

Dil dhadakta hai woh bin jazbaat koi
Zehn hi batlaye iztiraar kya hota hai

Tabassum kya jaane dil e muztar kya hai
‘Sahil’ na jaane, us paar kya hota hai