Tukhm boiye to sirf fasl e bahaar ke
Phir kijiye paida aala gul qaraar ke
Be qaarari to qafila hai masayab ka
Ghar kyon laane roz o shab aazaar ke
Zubaan per lagaam mufeed hai is liye
Alfaaz ban jaante hai sholay kabhi naar ke
Rakho madd e nazar usool qarz ke hamesha
Bahot mehangey hotey hain gul musta’ar ke
Mahabat karne waalo Kyon bhul jaate Ho tum
Raaste alag nahin hain kashti aur patwaar ke
‘Sahil’, dil dena to seekh gar chaah hai dildaar ki
Tamashayi nahin rakhte armaan us paar ke
Tukhm. Beej
Aazaar distress
Mufeed. Fayedemand
Naar. Aag
Musta’aar borrowed
Tamashayi. Onlookers
Armaan. Desires
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com