Tum sahil ki god men hum tanha girdaab men
Paaon tale zamin tumhaarey hum sailaab men
Madhosh, ai saqi, hain rind tere aaj khub
Hum baithe hain ghuroob jaam e mai e naab men
Badalte zamaane se shikwe nahin, vaaiz, phir
Chaah sukun ki kaisi dil e be taab men
Yaro, bu haqeeqat ki aur nazar ka fareb hai
Tafreeq kijiye zurur khwaab o saraab men
Naaseh, maqsad e zeest jeena nahin to kya hai
Jaane kya dhundte hain log kaunsi kitaab men
Qismat ko kyon kosta hai, ai insaan tu
Nahin bhoolta hai Rab kisi ko apne hisaab men
Saza o jaza ki baat kya ‘sahil’ lakiron ki baat kya
Sayi to farz hai, kya rakha hai majaazi sawaab men
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com