Listen

Description


Aaj rang nahi hai ‘Sahil’ aabginon mein
Lahoo sukh chuka hai veraan seenon mein

Chala karti thi Saba har subah kabhi
Ab samoom bhi aaya karti hai mahino mein

Khalal dekhiye is zamrrana ka aaj
Log zeher botay hain sairaab zameenon mein

Insaan ko insaan hi nahi maanta, koi
Phir tafreeq kya kaho pathar aur naginon mein

Inkisari thi bunyaad husn kabhi
Haif! naz o ishva hai ab haseenon mein

Apni duniya ka hungama dekh khudaaya
Qeht bohat hai is daur ke qarinon mein

Kis qader pareshan hai insaan, ‘Sahil’
Khoon bhi shaamil hai aaj ke pasinon mein

Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi

Note:

All material in this product is the intellectual property
of  Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,

The author is always open to proposals and can be contacted

via www.ashoksawhny.com