Woh naseem thi, saba thi, hum they simoom
Woh shhatir awwal aur hum they maasoom
Un saazgaar hawaon ka bharosa kya hai
Be zarar ko nahin hoteen yeh baaten maaloom
Woh kya jaane lutf aashnayi ka, naaseh
Jo khud hi se, bad bakht, ho jaaye mehroom
Aawaragi hai fitrat insan ki zurur
Ai dil, reh kar hadon men tu be shak jhoom
Subh na shab kaho yahan jaavaid kya hai
Faani sab, siwa Rab ke kuchh nahin qayyum
In baaton ki samajh gar nahin hai tujhe
To ‘sahil’, kabhi hum se aa kar jaan lena mafhoom
Naseem Saba gentle breezes
Simoom hot winds
Shaatir cunning
Saazgaar pleasant welcome
Be zarar innocent
Ashnayi familiarity
Naseh counsellor
Mehroom alone lost
Bad bakht unfortunate
Qayuum eternal
Mafhoom matlab
Note:
All material in this product is the intellectual property
of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com