Yaro, ranj o gham ke baabat alam se puchhiye
Koi aur sawaal ho to phir hum se puchhiye
Jaari hai nafas mera to zinda hi jaaniye
Kab talak ki baat ho to mere dum se puchhiye
Suna hai naam Jamshyd ka, mila nahin magar
Sawaal uske baarey men, jaam e jam se puchhhiye
Chaahat aur tapish dil ki be shak humse puchhiye
Be rukhi ka mafhoom lekin sanam se puchhiye
Tajruba nahin hakim ko mojizon ka koi
Marham bhi na jaane to, ibn e Maryam se puchhiye
Roya tha kaun raat bhar shabnam se puchhiye
Dil kis ka roya tha magar, num chashm se puchhiye
Dil men basta hai Khuda, naaseh na vaaiz wahan
Patharon men ghar kiska, dair o haram se puchhiye
Be rahm hai shaikh kitna zulm us ke se jaaniye
Karam farma hai maula kitna us ke karam se puchhiye
‘Sahil’ lahja kis zubaan ka kaisa, tameez hi batlaye
Zikr ho andaaz e bayaan ka, to qalam se puchhiye
Alam. Gham grief anguish
Nafas. Saans
Jamshyd. Iranian Emperor
Jaam e Jam. Cup of divination with Jamshyd
Mafhoom. Matlab
Mojizon. Miracles
Ibn e Mariam. Son of Mariam. Christ
Shabnam. Dew
Num chashm. Teary eye
Naaseh counselor
Vaaiz. Preacher
Dair o haram. Temple n Mosque
Lahja. Intonation cadence accent
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com