Yeh jo halka halka suroor hai
Nasha to is men zuroor hai
Chaah kisi ki hai aankh men
Hai woh paas ya woh door hai
Aashiq se mat kabhi puchhiye
Itna kyon woh majboor hai
Jurm kis ka aur qaatil kaun
Kis ka yeh qusoor hai
Jis men halka halka suroor hai
Dil us ka pur noor hai
Paak woh zuroor hai
Jis men halka halka suroor hai
Us men tinka nahin ghuroor ka
Na nishan koi futoor ka
Jis dil men halka halka suroor hai
Woh yaqinan qareeb e toor hai
Nazar usey lagegi kya
Jab chashm e bad bahot dur hai
Banda khuda ka sar woh jhukaaye
Woh insan aala ghafoor hai
Har haal men phir, ai ‘sahil’ dost
Us dil men khuda ka noor hai
Suroor. Khushi. Raahat lutf
Toor. Mount Sinai
Ghafoor. Merciful. Attribute of god
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com