Zakhm be wafayi ke beroon nahin tum andar dekho
Gehrey hain woh ghaao kitne phir sumundur dekho
Kyon puchhte ho najoomi se tum mere baarey men
Kabhi paas mere bhi aa kar to mere andar dekho
Yahin hai darya, yahin gulshan, yahin aaj andaleeb
Isi jagah ko kaun jaane kal phir banjar dekho
Qaza hi jaane kis ko kab lagayegi woh galey
Haathon men us ke chamakdaar ab hai khanjar dekho
Har insan men sufi hai ek shaitan bhi usi men
Har insan men ghaur se ‘sahil’ tum qalandar dekho
Note:
All material in this product is the intellectual property of
Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com