Zakhm, woh zakhm hi kya jis ki koi khabar na ho
Woh zer kya batao hamen jiska koi zabar na ho
Usey zindagi kahoge kya jo lamhe ke sang na chal sake
Woh darya kya kehlayega jo ravaan lagey magar na ho
Hayaat to aani jaani hai moayyan hai anjaam bhi
Usey ghar ki rah milegi kya jiska saans hi muntazir na ho
Ai ghaafil insan bata hamen dil se puchh kar magar
Kya Rab ko tu bhool jaaega gar masjid aur mandir na ho
Sahil usey kahenge kya jo kashti ko sahara na de
Aur tujhe ‘sahil’ dil samet gar sher sa tera jigar na ho
Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi