Zamaane se keh do kahin aur ja ke ro le
Aansuon ko apne sailaab mein dubo le
Sumundur se aaya hai tufaan yeh kaisa
Gar mil jaayen moti to haar bhi piro le
Koi theka to hum ne, na liya hai kisi ka
Girdaab men ja kar safina dubo le
Na milen gul to kaam khaar se chala le
Mil jaayen chaman mein to gesu sajo le
Bande, tukhm na boye to haasil kya hoga
Dua na maangi to ja tu bhi phir ro le
Bedaari men kaunse koi khaas gul hain
Neend aaye to tu bhi ja bistar mein so le
Nami ki kami hai masla dil ka nahin
‘Sahil’, do aansu baha kar tu ankh bhigo le
Note:All material in this product is the intellectual property ofmAshok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com