Ishq karen to tujhse kyon
Zindagi tu badnaam ho gayi hai
Subh dekha shaam nahin
Dekhte dekhte anjaan ho gayi hai.
Zamin per kabhi, kabhi falak per
Nahin tera thikana koi,
Aati hai tu, jaati hai tu
Tayyaar hai tujh per bahana koi
Tu bhi to ik gulshan hi hai
Phool tere Gulaab o Saman,
Hamaare bhi naam kuchh aise hi hain
Prem koi aur koi Chaman
Kaho, kyon karen hum tujh se pyaar
Jo kabhi khazaan hai phir bahaar ,
Aani jaani hai yeh, be wafa bhi
Marzi ki maalik hai be aitbaar
Ik shola hai tu, ai zindagi
Jalna bujhna hai kaam tera
Be sabaat hai salaam tera
Ghazab ka hai nizaam tera
Maana ke mustaqil kuchh bhi nahin
Phir, umeeden kyon keh sajayen hum,
Ab tu hi bata, ai be wafa zeest
Dil tujh se kyon lagayen hum
Ab kya karen ‘sahil’ tu hi bata
Muhabat ke laaiq aur kaun hai,
Jo bhi hai hayaat jaan hai meri
Aur is mazeed faaiq kaun hai
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com