Listen

Description

Ye Ishq Nahi Aasan made Jigar Muradabadi
Immortal, its an masterpiece that even Jigar Muradabadi Sahab cannot recreate,
its once in a Millennium creation. It is being explained by Nauushad Muntazir.

 

In this series of Ghazal Ki Kahani, first
half would be of recitation and second half would have explanation or
interpretation of the Ghazal. We will pick up each and every sher, and will go
through the feelings of the Ghazal.

 

If you have any poetry you want me to
recite, please mention in the comment box. If possible for me, I would surely
put my emotions into it.

 

-----

Link of the Book: https://amzn.to/3BtD04i

--------

Timeline:

0:00-1:53- Introduction

1:53-6:53- Recitation

6:53-26:27- Explanation

26:27 – Conclusion

 

------

 

Ghazal : 
Ye Ishq Nahi Aasan

Poet : Janab Jigar Muradabadi Sahab

Reciter : NauushadMuntazir

-नौशाद मुन्तज़िर/نوشاد منتظر  ®

youtube/ NauushadMuntazir

facebook/ NauushadMuntazir

Instagram/ NauushadMuntazir

 

 

 

ik
lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā hai

simTe
to dil-e-āshiq phaile to zamānā hai

 

ye
kis kā tasavvur hai ye kis kā fasānā hai

jo
ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā daanā hai

 

dil
sañg-e-malāmat kā har-chand nishānā hai

dil
phir bhī mirā dil hai dil hī to zamānā hai

 

ham
ishq ke māroñ kā itnā hī fasānā hai

rone
ko nahīñ koī hañsne ko zamānā hai

 

vo
aur vafā-dushman māneñge na maanā hai

sab
dil kī sharārat hai āñkhoñ kā bahānā hai

 

shā.ir
huuñ maiñ shā.ir huuñ merā hī zamānā hai

fitrat
mirā ā.īnā qudrat mirā shānā hai

 

jo
un pe guzartī hai kis ne use jaanā hai

apnī
hī musībat hai apnā hī fasānā hai

 

kyā
husn ne samjhā hai kyā ishq ne jaanā hai

ham
ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ zamānā hai

 

āġhāz-e-mohabbat
hai aanā hai na jaanā hai

ashkoñ
kī hukūmat hai aahoñ kā zamānā hai

 

āñkhoñ
meñ namī sī hai chup chup se vo baiThe haiñ

nāzuk
sī nigāhoñ meñ nāzuk sā fasānā hai

 

ham
dard-ba-dil nālāñ vo dast-ba-dil hairāñ

ai
ishq to kyā zālim terā hī zamānā hai

 


vo the ḳhafā ham se yā ham haiñ ḳhafā un se

kal
un kā zamāna thā aaj apnā zamānā hai

 

ai
ishq-e-junūñ-pesha haañ ishq-e-junūñ-pesha

aaj
ek sitamgar ko hañs hañs ke rulānā hai

 

thoḌī
sī ijāzat bhī ai bazm-gah-e-hastī

aa
nikle haiñ dam-bhar ko ronā hai rulānā hai

 

ye
ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh liije

ik
aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai

 

ḳhud
husn-o-shabāb un kā kyā kam hai raqīb apnā

jab
dekhiye ab vo haiñ ā.īna hai shānā hai

 

tasvīr
ke do ruḳh haiñ jaañ aur ġham-e-jānāñ

ik
naqsh chhupānā hai ik naqsh dikhānā hai

 

ye
husn-o-jamāl un kā ye ishq-o-shabāb apnā

jiine
kī tamannā hai marne kā zamānā hai

 

mujh
ko isī dhun meñ hai har lahza basar karnā

ab
aa.e vo ab aa.e lāzim unheñ aanā hai

 

ḳhuddārī-o-mahrūmī
mahrūmī-o-ḳhuddārī

ab
dil ko ḳhudā rakkhe ab dil kā zamānā hai

 

ashkoñ ke tabassum meñ aahoñ ke tarannum meñ

ma.asūm mohabbat kā ma.asūm fasānā hai

 

aañsū
to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekin

bañdh
jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai

 

 

 

 

 

This Youtube Video Link: https://youtu.be/fLTxW5FeAbY or just type
#nauushadmuntazir

 

YT Channel Link:    shorturl.at/cnqDV

 

Website: http://nauushadmuntazir.com/ 

 

http://facebook.com/nauushadmuntazir

http://instagram.com/nauushadmuntazir

 

http://twitter.com/naushadmuntazir (spelling change)

 

For promotions: nauushadmuntazir@gmail.com

http://nauushadmuntazir.com

——————————

For Podcasts:

 

Spotify URL- https://open.spotify.com/show/5LpUeS5SnrHxcp6i6WplCx

 

ApplePodcast URL- https://podcasts.apple.com/us/podcast/nauushad-muntazir/id1608344714

 

#nauushadmuntazir
#shayariofnauushadmuntazir #besturdupoetry