khoon apna ho ya paraya ho,
nasl-e-adam ka khoon hai aakhir;
jang mashriq mein ho ya maghrib mein,
aman-e-alam ka khoon hai aakhir.
(Nasl-e-adam : humanity, mashriq-maghrib : east-west)
jang to khud hi ek maslaa hai,
jang kyaa maslon ka hal degi;
aag aur khoon aaj bakhshegi,
bhookh aur ehtiyaaj kal degi.
(masla : problem, ehtiyaaj : needs)
bartaree ke saboot ki khatir,
khoon bahana hi kya zaroori hai?
ghar ki tareeqiyan mitane ko,
ghar jalana hi kya zaroori hai?
(bartaree : greatness)
Bomb gharon par giren ke sarhad par,
Rooh-e-taameer zakhm khati hai;
Khet apne jalein ke auron ke,
Zeest faaqon mein tilmilati hai.
(Rooh-e-taameer : spirit of construction, Zeest : Life,Faaqon mein tilmilati hai : wrecked by starvation)
Tank aage badhen ke peeche haten,
Kokh dharti ki baanjh hoti hai;
Fateh ka jashn ho ke haar ka sog,
Zindagi mayyaton pe roti hai.
(Kokh : womb, baanj : barren, Fateh : victory, Jashn : celebration,Sog : lament, Mayyaton : corpses)
Isliye ae shareef insaano,
jang taltee rahe to behtar hai;
aap aur ham sabhi ke aangan mein,
shama jalti rahe to behtar hai.
-- by Sahir Ludhianvi