The youtube link
https://youtu.be/ROINgHepCVo
Lyrics
Ab bas bahat hua
Tune kaha ye pyar byaar ke riste sab ek hote hain,
Ye toh khudgarji hai do jismo ki, ye kahan nek hote hain.
Tune ye bhi kaha ye essi gunaah hai, jiski na koi sazaa na koi maafi hai.
Ab lela-majnu, heera-ranjha aur misaalen dun ya itna kaafi hai.
Tune sahi kaha tha ye sab ek hi toh jese hain.
Duniya inhe kuch v bole ye pane pyaar ke liye nek hi toh hein.
Jis riste se tune harpal dhokha khaya hai,
Jis riste ne tujhe hamesha sataya aur hamesha rulaya hai,
Jis riste ko tune bakhubi nibhaya tha, magar usine hamesha tujhe bewafa bulaya hai.
Aur me jaanta hun
Uss riste ko dekhkar kar hi Tune mere riste ko thukraya hai,
Magar alag tha, mera rista tere in saare riston se alag tha.
We riste the tujhe hamesha khusiyan dene ke liye,
Aur me samesha hum tere gam me saath nibhane ke liye.
Wo riste tujhse baat karte the hamesha kuch kahne ke liye,
Aur me baat karta hun bewajaah, bas tujhe sunne ke liye.
Wo riste apna sabkuch de sakte the tera sabkuch paane keliye.
Aur mera sabkuch toh tuhi hi hai, aur kuch nhi bas tera pyaar ke liye.
Magar Ab bas bahat hua
Pyar keliye tujhse aur binnati nhi karunga.
Itna bhi kya shastaa honaa.
Bhiik me milee manjil se achha
Ek biraan sa rasta honaa.
Mat samajh tujhe mannane ka ye mera koi. Naya tarika hai,
Kya karun ab khudgarj hun, tujhse hi toh sikha hai.
Aaj tujhse kai jyada mujhe mera aatmasamaan badaa hai,
pyar nhi dikhega tujhe
Tere aankhoke samne jo tera gurur khadaa hai.
Me tujhe badalna nhi chahta,
Apne marji se jeena acha hota hai.
Magar ek baat jaanle ki ye inshaana jhute hote hai ye pyar sacha hota hai.
Inshaan sahi naho, magar pyar jhuta toh nhi hota.
Tu samjhleti toh teri dill aaj sayad tuta nhi hota.
Tere saath kabhi koi dagaa nhi hota.
Mera dill bhi tujhse lagaa nhi hota.
Kaas maalum hota har dill lagi aapn sagaa nhi hota.
Toh Meri shayari bhi tujh jaeson keliye koi jagah nhi hota.