Please share if you like it
YouTube link for the video version
https://youtu.be/I0FQHJ3UovQ
Lyrics
Ek din Maut Jarur aaegi
Daulat sauhrat se chahe kitna bhi bada mahal banaega.
Apne maut pe toh ek chote se kabr me so jaega.
Jiwan ke safar me kai yaar ristedar Tu kamaega.
Magar apne maut pe sirf chaar kandho pe hi jaega.
Chule tu kaamiyabi ke chahe jitne uunche aashman.
Ruh binaa tere iss sarirko jamin me hi dafna jaega.
Lagaa de jor dekhe tujhme hai kitna,
Tera ye gurur bhi tere sath chitaa ke aag me raakh ban jaega.
Teri jindagi bhar ki mehnat ki kamaai bhi tu akele nhi kha paega.
Iss dharti me Tu ekdin bass yaad banke rah jaaega.
Koi roega tere jaane par, aur koi jasn manaaega.
Kuch din teri kami khalegi
Teri jagah fir koi aur le jaega.
Jaati, dharm aur naari-purus ye inshaan chahe jitna bhi bat jaega.
Samshaan ki agni bhed na jaane, yahan sab koi mitjaega.
Wakt se na koi bhaag sakaa, aur na mout se chupa jaega.
Jab sahi wakt kahlaega, ye mout bina dastak deke aaega.
Tera jindagi ke safar ko mout ki manjil mil jaega.
Fir kon apna kon paraya, yaadon ki har tasvir jal jaega.
Credit to:
"Savfa- the traveling symphony" is under a creative common attribution 4.0 international license (CC by 4.0) music promoted by breaking copyright.
https://youtu.be/yIF56YN5M_Q