Listen

Description

Welcome to our this special episode of RaiBhiLo. This is a piece close to my heart a Nazm by Ahmad Faraz. Bhali si ek shakl thi. " bhale dinoñ kī baat hai

bhalī sī ek shakl thī

na ye ki husn-e-tām ho

na dekhne meñ aam sī

na ye ki vo chale to kahkashāñ sī rahguzar lage

magar vo saath ho to phir bhalā bhalā safar lage

koī bhī rut ho us kī chhab

fazā kā rañg-rūp thī

vo garmiyoñ kī chhāñv thī

vo sardiyoñ kī dhuup thī

na muddatoñ judā rahe

na saath sub.h-o-shām ho

na rishta-e-vafā pe zid

na ye ki izn-e-ām ho

na aisī ḳhush-libāsiyāñ

ki sādgī gila kare

na itnī be-takallufī

ki aa.ina hayā kare

na iḳhtilāt meñ vo ram

ki bad-maza hoñ ḳhvāhisheñ

na is qadar supurdagī

ki zach kareñ navāzisheñ

na āshiqī junūn kī

ki zindagī azaab ho

na is qadar kaThor-pan

ki dostī ḳharāb ho

kabhī to baat bhī ḳhafī

kabhī sukūt bhī suḳhan

kabhī to kisht-e-za.afarāñ

kabhī udāsiyoñ kā ban

sunā hai ek umr hai

muāmalāt-e-dil kī bhī

visāl-e-jāñ-fazā,n to kyā

firāq-e-jāñgusil kī bhī

so ek roz kyā huā

vafā pe bahs chhiḌ ga.ī

maiñ ishq ko amar kahūñ

vo merī zid se chiḌ ga.ī

maiñ ishq kā asiir thā

vo ishq ko qafas kahe

ki umr bhar ke saath ko

vo bad-tar-az-havas kahe

shajar hajar nahīñ ki ham

hamesha pā-ba-gil raheñ

na Dhor haiñ ki rassiyāñ

gale meñ mustaqil raheñ

mohabbatoñ kī vus.ateñ

hamāre dast-o-pā meñ haiñ

bas ek dar se nisbateñ

sagān-e-bā-vafā meñ haiñ

maiñ koī panting nahīñ

ki ik frame meñ rahūñ

vahī jo man kā miit ho

usī ke prem meñ rahūñ

tumhārī soch jo bhī ho

maiñ us mizāj kī nahīñ

mujhe vafā se bair hai

ye baat aaj kī nahīñ

na us ko mujh pe maan thā

na mujh ko us pe zo.am hī

jo ahd hī koī na ho

to kyā ġham-e-shikastagī

so apnā apnā rāsta

hañsī-ḳhushī badal diyā

vo apnī raah chal paḌī

maiñ apnī raah chal diyā

bhalī sī ek shakl thī

bhalī sī us kī dostī

ab us kī yaad raat din

nahīñ, magar kabhī kabhī"